Thursday 9 February 2012

Thaam leta humain bhi barh ke koi Haath hum ko koi mila hota Hum ulajhte nahi zamane se Ek jo Humsafar mera hota Hum na thakte safar mein gar Saath apne koi chala hota

Saath chalne main jo maza hota Woh humain bhi kabhi mila hota Yeh hi hasrat rahi hamari faqat Saath apne koi chala hota Hum bhatakte rahe the raahon mein koi rasta pata chala hota

Tumhari raat si zulfon mein chand sa chahra, Yeh jaan tum phir lutanay ki ijazat de do, Nahin shoq Saqib ko bhool ka magar, Mujhey yeh duniya bhool janay ki ijazat de

Khud ko is dil main basanay ki ijazat de do, Mujh ko tum apna bananay ki ijazat de do, Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho, Pholon say khud ko sajanay ki ijazat de do, Mein kitna chahta hon kis tarah bataon tumhein, Mujhey yeh batanay ki ijazat de do,

APNE CHEHRE SE JO ZAHIR HE CHUPAYE KESE TERI MARZI KI MUTABIQ NAZAR AAYE KESE GHAR SAJANE KA TASAWWUR TO BAHOT BAAD KA HE PEHLE YE TAY HO KE IS GHAR KO BACHAYE KESE LAAKH TALWAAR BADHI AATI HO GARDAN KI TARAF SARJHUKANA NAHI AATA TO JHUKAYE KESE

Me too samjhta tha k mere baghair kahan se g sake ga koi, aziz sab ko tha magar zarooraton ki tarah.

Apni To Mohabbat ki Bas Itni kahani hai, Tooti hui kashti or Thehra hua Pani hai, Ik Phool kitabon Me Dam tor chuka hai, Yaad nahi ata k Ye kis ki Nishani hai.

Har Ik Jaanib Samandar hai, Kinaara kiuon nahi milta, Mere Mola bata Mujhko, Sahaara kiuon nahi milta, Mujhe is Shaher main Din bhar, Hazaron Log milte hain, Jise Main Dhoondne nikloon, Woh Piyaara kiuon nahi milta, Jise Chaha, Jise Pooja, Jise Socha, Jise likkha!!! Mere Mola Mera Usse Sitaara kiuon nahi milta...

Kuch aesey log jo zehan sey bhulaey nahi jaatey kuch aesey lamhey jo dil sey mitaatey nahi jaatey dard ki chaadrein meri ghazlon ko dhaanp leti hein mujh sey sheiron mein naey rang dikhaey nahi jatey be-basi barrh ke meri aankhon mein utar aati hey meri hansi sey merey aansu chupaaey nahi jaatey teri tehreeron sey aati hey terey haathon ki mehak bewafaa mujh sey terey khat jalaaey nahi jaatey wafaa ki raahon mein bujhney ke baad ye jaana hey sar-e-hawa deeye mohabbat ke sajaey nahi jaatey aey merey Khuda taqdeer ko itna to batayaa hota dukhon ke pahaarr insaanon pe giraey nahi jaatey

jo khayal the na kyas the wohi log mujh se bichar gay. Wo jo mudaton ki ass thy wohi log mujh se bichar gay. Jinhay manta nahi ya dil wohi log hen maray humsafer. Wo jo her tarhan se mujhy ras they wohi log mujh se bichar gaye.

Mil mil ke bicharrna mujhe accha nahi lagta Per tum ko bhi paane ka raasta nahi milta Tere khaloos-e- Mohabbat pe atebaar hai itna Siwa tere koi rishta sacha nahi lagta

agar koi baat na ho.. tho waqt tham jaata hai.. nazrein tharas jaati hain unki palkoun ko dekhte dekhte, iss aas mein hum bhi rehte hain ke woh bhi apni nighaahoun se humein dekhein! aur humse bhi baat karein, unke hontoun ki hansi tho bohat achi hai... lekin kabhi humse bhi baat karein!!!

Chehre pe haseen chaa jati hai Aankhon main suroor aaa jata hai Jab tum mujhe apna kahte ho Apne pe ghuroor aa jata hai

Chaand Ho Jesay Sitaron Say Allag Esay Neainon Mein Haya lagti Hay Teri Qurbat Mein Juki Si Nazar Aik Masoom Si Dua Lagti Hay Marhala Moat Ka Mushkil Magar Zindgi Es Kay Siva Lagti Hay

Mere Mohabbat Kay Doo Alam Tamam Roshan Tamam Mohkam Main Yad Karna Bhi Janta Hoon Orr Yad Ana Bhi Janta Hoon Nazar Nazar Mian Kamrani Kadam Kadam Pay Hai Kamiyabi Magar Koyi Muskara Ker Dekhay Tu Har Jana Bhi Janta Hoon

Mujh K0 Mal00m Nahi Husun Ki "Tareef" Magar Meri Nazr0'n Mein Haseen Sirf W0 Hai J0 "Tum Jaisa" "H0"

ChaLo Uska NaHi To KhUdA Ka EhSaAn LeTe HeIn FaRaZ ... WoH MiNnAt Se NaHi MaAnA To MaNnaT Se MaAnG LeTe HeIn ...

usay meri chup nai rula diya jisay guftugoo pa kamaal tha!! wo tu mujh sai mil k tha ro diyaa faqat itna hi mujhai keh saka jisay maanta tha main zindagi wo tu sirf wehm-o-khayal tha..!!!

Zindagi k har mor pe sunehri yado ka ehsas rehne do Suroor dil me or mithas zuban pe rehnay do Yehi faisla hai jenay ka Na raho udass Na kisi ko UdasS rehne 2.

Kahi Sehra Kahi Sokhay Shjar Ache Nahi Lagte Mujhe Ab Khwabzaron Ke Safar Ache Nahi Lagte Jawabi Khat Me Youn Osne Mere Baray Mein Likha Tha Bura Bi Keh Nahi Sakte Magr Ache Nahi Lagte Nahi Masrof Me Itna Ke Ghar Ka Rasta Bhulo Koi Jb Muntazir Na Ho To Ghar Ache Nahi Lagte Samandr Terti Lehron Se Ye Kehta Raha Shab Bhar Mujhe Bi Dobnay Walo Bhanwar Ache Nahi Lgte Nahi Aisa Ke Ab Parwaz Ki Taqat Nahi Baqi Meri Umeed Ke Panchi Ko Par Ache Nahi Lgte

Sari haqeeqatoon ko khawab kr k.. Umar bhar ki khushiyaan sarab kr k.. Badal gaya hai ik shaks na jaanay kyun..? Meri aadatoon ko kharab kr k...!

"Ye wafa ye mohabat tere nam ki Hum ne apni chahat tere naam ki Sab gham or dard hen hamare liye Hum ne tamam umar ke khushian tere naam ki Hamari to na manzil ha na rasta apna Hum ne phir b apne DIL ki dunia tere naam ki Hum hen bewafa kabi sochna b mat Hum ne to ek umar ki wafa tere naam ki".

Hawa-e-dard chali aur uski yad ai, Lo phir se sham dhali aur uski yad ai, kisi ki baton ki barish main hum b bheeg gaey, kisi ne bat na ki aur uski yad ai.

Hawa-e-dard chali aur uski yad ai, Lo phir se sham dhali aur uski yad ai, kisi ki baton ki barish main hum b bheeg gaey, kisi ne bat na ki aur uski yad ai.

MERI NIGAHON KO TERE DIDAR KI KHUWAISH HAI MERE DIL KO TERE SATH KI KHUWAISH HAI TERI ULFAT KA ASAR KUCH YUN HUA HAI MUJH PE K HAR PAL TERE PYAR KI KHUWAISH HAI

Yunhi Umeed Dilatay Hain Zamane Wale, Laut Kay Kab Aatay Hain Jane Wale, Tu Ne Dekha Kabi Sehra Main Jhulasta Hua Darakht, Iss Tarha Jaltay Hain Wafaon ko Nibhane Wale, Tu Aa Kar To Dekh Kabi Un Ki Shabon Main, Kitna Rotay Hain Zamane Ko Hasane Wale!

Nadiyon ki dosti sagar se hai Badal ki dosti ambar se hai Chand ki dosti sitaron se hai Fulon ki dosti khushbu se hai Parvat ki dosti jharno se hai Bagon ki dosti kaliyon se hai Umangon ki dosti dil se hai Humari dosti sirf aap se hai.

chehra hamaara tha to nigahe unki khamoshi me bhi wo baate unki hamaare chehre par ghazal likhte gaye sher kehti hui ankhe unki shokh lamho ko pata dene lagi tez hoti hui saanse unki aise mausam bhi guzaare humne subha hamaari to sham unki

main to chah kai bhi us ko bhola nai paonga dil-e-tanhai sai usi ki yaad main anson baha ta rahon ga anso ki ter hain ek din mai bhi tan ha hi bhai jaonga

main to chah kai bhi us ko bhola nai paonga dil-e-tanhai sai usi ki yaad main anson baha ta rahon ga anso ki ter hain ek din mai bhi tan ha hi bhai jaonga

Wohi qisay hain wohi bat purani apni. Kon sunta hay bhala ram kahani apni. Her sitamgar ko yeh hamdard samajh laiti hay. Kitni khush fehm hay kambakht jawani apni. Roz milte hain darechey mein naey phool mjhe. Chor jata hay koi roz nishani apni. Dushmano se hi gham-e dil ka madawa mangain. Doston ne to koi bat na mani apni. Aaj phir chand ufaq per nahi ubhara MOHSIN Aj phir rat na gzry gi suhani apni...

Nigahon k Tasaadom se, ajab Taqrar karti hai. Yaqeen Qamil nahi lekin, Guman hai pyar karti hai. Laraz jata hoon main ye soch k, Kafir na ho jaon, Tabeyat uski pooja K leye Israr krti hy, Usy ma'lum hy Shayed mera dil hy neshany pr, Laboñ sy kch ni kehti Nazar sy Waar krti hy, My Os se puchta hun khwaab my, "Muj sy muhabbat hy.???" Pher Aankaiñ khol deta hun, Wo jab Izhaar krti hy,..

Ret Ki Tarah Hath,Se Nikalti Chalee Gayee. Zindagi Har Lamha, Badalti Chalee Gayee. Aziz The Mujhe Apne Ausool Lekin Na Jane Kyun, Naye Daurr Ke Dhanche Mein Yeh Dhalti Chalee Gayee. Sehar Hone Pe Bhi Chirag Woh Bhujne Nahi Deta, Idhar Mein, Udhar Woh Shamma Bhi Jalti Chalee Gayee

Bekhudi ki yeh to ibtedaa hai, Intehaan ki hudd tak jaoon kaise !!! Meri ghazalein hain tumhaara aainaa, tanhaayee mein ab nazm banaoon kaise !!!

Khwaboon mein tera chehraa parhtaa hoon, Khawaab ko haqeeqat banaoon kaise !!! Ikhteyaar mein mere ab kuch bhi nahin, Akele ik aashiyaan banaaon kaise !!!

Chand ko sitaron se aur mujhe tum se Mohabbat hai Phoolon ko baharon se aur mujhe tum se Mohabbat hai Mehfil main jo milna nighahein jhuka lena koi samjh na paye ke mujhe tum se Mohabbat hai Ab tere hijr main bus ek kaam hai Aasman takna Tum sitaron pe likh dena mujhe tum se Mohabbat hai Hai hamain ehsas tum ko bhi hum se Pyaar hai lekin Yeh mere ru - ba - ru kehna mujhe tum se Mohabbat hai

Lamhe Ye Suhane Saath Ho Na Ho, Kal Me Aaj Jaisi Koi Baat Ho Na Ho, Aapka Pyar Hamesha Is Dil Mei Rahega, Chahe Poori Umar Mulakat Ho Na Ho.. Na Kabhi Muskurahat Tere Hothon Se Duur Ho.. Teri Har Khwahish Haqiqat Ko Manzoor Ho.. Ho Jaye Jo Tu Mujhse Khafa.. Khuda Na Kare Mujhse Kabhi Aisa Kasoor Ho..

"(BEST GAZAL)" Äb Agär Aäö Tö Jäñäy k Líyé Mät Aäñä Sírf Ehsääñ Jätäñäy k Líyé Mät Aäñä Mäíñ Né Pälköñ pé Tämäññäéñ Säjä Räkhí Häíñ Díl pé Umééd kí Sö Räsméíñ Jälä Räkhí Häíñ Yé Häsééñ Shäméíñ Büjhäñäy k Líyé Mät Aäñä Pyär kí Aäg Méíñ Zäñjéér píghäl Säktí Häí Chähñäy Wälöñ kí Täkdéér Bädäl Säktí Häí Hööñ Bébäss Yé Bätäñäy k Líyé Mät Aäñä Müjh Sé Mílñäy kí Agär Tüm kö Nähí Cháhát köí Tüm Sírf rásméíñ Níbhäñäy k Líyé Mät Aäñä

Mujh se bichr k benam ho jao ge In logon k hathon nelam ho jao ge Mujhe acha nahi lgta tera hr ik se milna Hr ik ko mayasar hue to aam ho jao ge

Pas hoty to lab chom k jagaty tum ko Rakh k dil pe hath dharkanain sunaty tum ko Or jo tum sakon ki arzo karty Rakhtay sir seeny pe or sulaty tum ko

Monday 16 January 2012

Sapne ki tarah tujhe saja ke rakhu, Chandini raat ki nazroon se chupa ke rakhu, Meri taqdir mere saath nahi, Warna zindagi bhar tujhe apna bana ke rakhu.

bhati


Teri mohabbat mein ajab ajab se kaam karte hain Tere naam ke har shaks ko salaam karte hain Aur guzar hota hai chaman se jab Tere dhokey mein phoolon se kalaam karte hain Ye baat nahi ke dartey hain tere shehar walon se Bas teri wajah se har shaks ka ehtraam karte hain......


MERI DUAON ME AAPKA JIKR HAMESHA RAHEGA AAPKI ZINDGI ME MERA SAATH HAMESHA RAHEGA BHALE HI HUM DUR HI SAHI PAR.... DIL SE DIL KA RISHTA HUMESHA RAHEGA...... ..!


Na kabhi ye chupaya ki pyaar kitna hai, Na kabhi yah jataya ki dard kitana hai... Bas ek hame aur us khuda ko maaloom hai ki Aapse mulaakaat ka intajaar kitana hai...


Mohabbat Ko Majburi Ka Naam Mat Dena, HaKeeqat Ko Hadso Ka Naam Mat Dena, Agar Dil Mein Ho PYAR Kisi K Liye Toh, Usse Kabhi DOSTI Ka Naam Mat Dena...!!.


Tum dil ko bekaraar kyon nahi karate, Meri mohabbat par aitbaar kyon nahi karate, Jee nahi sakata hoke juda tumse, Lekin tum to mohabbat ka izahaar nahi karate...


Zindagi ki raaho pe jab aage jaaoge, Peeche ek saaya tum hardam paaoge... Mud ke dekhoge to tanhaai hogi, Agar mahsoos karoge to hame paaoge...

Aapki ek muskuraahat ne hamaare hosh uda diye... Ham hosh me aane hee waale the... Ki aap phir se muskura diye.

Yun kabhi sapno ko dil se lagaya karo, Kisi ke khwaabon me aaya-jaaya karo, Jab bhi jee ho ki koi tumhe bhi manaaye, Bas hame yaad karke rooth jaaya karo...

Dard me koi mausam pyara nahi hota, Dil ho pyasa to paani se gujara nahi hota, Dekhe jara koi bebsi hamaari, Ham uske ho jaate hai jo hamara nahi hota.

love

Unko pyaar karne ka hisaab na aayega, Meri kisi bhi baat ka jawaab na aayega... Ham to jaagte rahenge unke hi khyaalon me aur, Unko so kar bhi hamara khwaab na aayega...