Thursday 9 February 2012

Thaam leta humain bhi barh ke koi Haath hum ko koi mila hota Hum ulajhte nahi zamane se Ek jo Humsafar mera hota Hum na thakte safar mein gar Saath apne koi chala hota

Saath chalne main jo maza hota Woh humain bhi kabhi mila hota Yeh hi hasrat rahi hamari faqat Saath apne koi chala hota Hum bhatakte rahe the raahon mein koi rasta pata chala hota

Tumhari raat si zulfon mein chand sa chahra, Yeh jaan tum phir lutanay ki ijazat de do, Nahin shoq Saqib ko bhool ka magar, Mujhey yeh duniya bhool janay ki ijazat de

Khud ko is dil main basanay ki ijazat de do, Mujh ko tum apna bananay ki ijazat de do, Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho, Pholon say khud ko sajanay ki ijazat de do, Mein kitna chahta hon kis tarah bataon tumhein, Mujhey yeh batanay ki ijazat de do,

APNE CHEHRE SE JO ZAHIR HE CHUPAYE KESE TERI MARZI KI MUTABIQ NAZAR AAYE KESE GHAR SAJANE KA TASAWWUR TO BAHOT BAAD KA HE PEHLE YE TAY HO KE IS GHAR KO BACHAYE KESE LAAKH TALWAAR BADHI AATI HO GARDAN KI TARAF SARJHUKANA NAHI AATA TO JHUKAYE KESE

Me too samjhta tha k mere baghair kahan se g sake ga koi, aziz sab ko tha magar zarooraton ki tarah.

Apni To Mohabbat ki Bas Itni kahani hai, Tooti hui kashti or Thehra hua Pani hai, Ik Phool kitabon Me Dam tor chuka hai, Yaad nahi ata k Ye kis ki Nishani hai.